Pages

Friday, March 6, 2015

Kisi bhi cheez ke nuqsaan se hifaazat ki dua

♡ Kisi bhi cheez ke nuqsaan se hifaazat ki dua

♥ Hazrath Abban (Radiyallahu 'Anhu) farmaate hain ke main ne Hazrath Usmaan (Radiyallahu 'Anhu) ko farmaate huwe suna ke Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Jo shakhs is dua ko subah-o-shaam 3 martaba padh le, to koi cheez us ko nuqsaan nahin pohncha sakti:



♥ “Bismillaahillazee laa yazurru ma-asmihee shaiun fil arzi walaa fissamaai wa huwas sameeul aleem” (Tirmizi: 3388) ♥


♡ Tarjama: (Main ne) Allah Ta'ala ke naam se (subah-o-shaam ki) jis ke (paak) naam ke saath zameen-o-aasmaan ki koi cheez bhi nuqsaan nahin pohncha sakti aur wo sab kuchh sunne waala jaanne wala hai.

♡ Is Hadees ke Raawi Hazrat Abbaan (Radiyallahu 'Anhu) ko faalij ho gaya tha, ek shakhs jis ne Abbaan (Radiyallahu 'Anhu) se yeh riwaayat suni thi, un ko hairat se dekhne laga, kyun ke is dua ka waaqai wahi asar hai jo is Hadees mein bayaan kiya gaya hai to khud un ko faalij kiyun kar ho gaya? Hazrath Abban (Radiyallahu 'Anhu) ne us se kaha ke kya dekh rahe ho? Bila shuba Hadees to wahi hai jo main ne aap se bayaan ki, lekin mujhe faalij is wajah se ho gaya ke main ne us din yeh dua nahin padhi thi aur Allah ki taraf se jo hona tha, ho gaya.

0 comments:

Post a Comment