Pages

Showing posts with label dua. Show all posts
Showing posts with label dua. Show all posts

Sunday, February 15, 2026

Har cheez ke shar se hifaazat ki dua

Wednesday, February 11, 2026

Istikhaare ki Dua

Friday, February 6, 2026

Namaaz ke Baad is Dua ko Na chodna


Thursday, February 5, 2026

Faqr-o-Mohtaaji se Panaah

Saturday, January 31, 2026

Feb 19 - Jab Witr ki Namaaz ka Salaam phere


Friday, January 30, 2026

Feb 17 - Jab Kisi Kaam Ke Karne ka Iraadah Zaahir karein


Wednesday, January 28, 2026

Nuqsaan-se-Hifaazat (Istikhaare ki Dua)

Tuesday, January 27, 2026

Bukhaar Aur Dard Ke Waqt Yeh Du'aa Padha Kare

Monday, January 26, 2026

Azaan ke baad ki Dua

Sunday, January 25, 2026

Jab kabhi bazaar me daakhil ho to yeh dua padh lijiye

Saturday, January 17, 2026

Kisi se khatre ke khauf ke waqt ke waqt ki dua

Friday, January 16, 2026

Badan ki Salaamti ki dua

Monday, January 12, 2026

Kapda Utaarne ka Iraadah kare to yeh Dua padhe

Sunday, January 11, 2026

Ghar mein daakhil hone ki dua

☆ Ghar mein daakhil hone ki dua

🌟 Hazrat Abu Maalik Ash'ari ( Radiyallahu 'Anhu) se marwi hai ke Aap ne farmaaya ke Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Jab aadmi apne ghar mein daakhil ho to yeh dua padhe:



“Allaahumma inni as-aluka khairal maulaji wa khairal makhraji bismillaahi wa lajnaa wa bismillaahi kharajnaa wa alallaahi rabbinaa tawakkalna”

🌟 Tarjama: Aye Allah! Main aap se andar jaane aur baahar nikalne ki bhalaai ka sawaal karta hoon, ham Allah Ta'ala hi ke naam se daakhil hote hain aur Allah Ta'ala hi ke naam se baahar nikalte hain, aur ham ne apne rab Allah hi par bharosa kiya.

🌟 Phir use chaahiye ke apne ghar waalon ko salaam kare.

♡ Reference: Abu Dawood: 5096

Saturday, January 10, 2026

koi takleef pahonche, ya koi cheez gum ho jaaye to kahe

☆ koi takleef pahonche, ya koi cheez gum ho jaaye to kahe:



☆ Innaa lillaahi wa innaa ilaihi raaji'oon

☆ Tarjama: Beshak ham Allah hi ke liye hain aur ham ko usi ki taraf laut kar jaana hai.

Friday, January 9, 2026

Kisi ko rukhsat karne ki dua

☆ Kisi ko rukhsat karne ki dua

☆ Hazrat Saalim farmaate hain ke Hazrat Abdullah bin Umar (Radiyallahu 'Anhu) jab koi aadmi safar ka iraada karta hai to us se farmaate ke mujh se qareeb ho jaao taake main aap ko is tarah rukhsat karoon jaise Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ham ko rukhsat farmaate the, phir yeh dua padhte :



♡ “As-taudiullaaha deenaka wa amaanataka wa khawaateema amalika” (Tirmizi: 3443)

♡ Tarjama: Main aap ka Deen aur aap ki amaanat aur aap ke kaamon ka anjam Allah ke hawaale karta hoon.

Thursday, January 8, 2026

Kisi bhi cheez ke nuqsaan se hifaazat ki dua

♡ Kisi bhi cheez ke nuqsaan se hifaazat ki dua

♥ Hazrath Abban (Radiyallahu 'Anhu) farmaate hain ke main ne Hazrath Usmaan (Radiyallahu 'Anhu) ko farmaate huwe suna ke Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Jo shakhs is dua ko subah-o-shaam 3 martaba padh le, to koi cheez us ko nuqsaan nahin pohncha sakti:



♥ “Bismillaahillazee laa yazurru ma-asmihee shaiun fil arzi walaa fissamaai wa huwas sameeul aleem” (Tirmizi: 3388) ♥


♡ Tarjama: (Main ne) Allah Ta'ala ke naam se (subah-o-shaam ki) jis ke (paak) naam ke saath zameen-o-aasmaan ki koi cheez bhi nuqsaan nahin pohncha sakti aur wo sab kuchh sunne waala jaanne wala hai.

♡ Is Hadees ke Raawi Hazrat Abbaan (Radiyallahu 'Anhu) ko faalij ho gaya tha, ek shakhs jis ne Abbaan (Radiyallahu 'Anhu) se yeh riwaayat suni thi, un ko hairat se dekhne laga, kyun ke is dua ka waaqai wahi asar hai jo is Hadees mein bayaan kiya gaya hai to khud un ko faalij kiyun kar ho gaya? Hazrath Abban (Radiyallahu 'Anhu) ne us se kaha ke kya dekh rahe ho? Bila shuba Hadees to wahi hai jo main ne aap se bayaan ki, lekin mujhe faalij is wajah se ho gaya ke main ne us din yeh dua nahin padhi thi aur Allah ki taraf se jo hona tha, ho gaya.

Wednesday, January 7, 2026

Aab-e-Zam Zam peene ki dua

Aab-e-Zam Zam peene ki dua

Hazrat Akrama (Radiyallahu 'Anhu) bayaan karte hain ke Hazrat Abdullah Bin Abbaas (Radiyallahu Anhu) jab Zamzam peete to yeh dua padhte:

Allaahumma inni as-aluka ilmannaafianw wa rizqanw waasianw wa shifaa ammin kulli daain

Reference: (Sunane Daare Qutni: 2738)

Tarjama: Aye Allah! Main Aap se nafa dene waale ilm, kushaada rozi aur har beemaari se Shifa ka sawaal karta hoon.

Monday, January 5, 2026

Ghar Se Nikalte Waqt Ki Dua

Ghar Se Nikalte Waqt Ki Dua
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
♡ Hazrat Anas Bin Maalik (Radiyallahu 'Anhu) se riwaayat hai ke Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Jab koi aadmi apne ghar se nikalte waqt (yeh alfaaz) kahe:

“Bismillaahi tawakkaltu alallaahi laahaula walaa quwwata illaa billah”

♡ Tarjuma: Main Allah ke naam se nikalta hoon,
mein ne Allah par bharosa kiya , gunaahon se bachne ki taaqat aur
Nek kaam karne ki quwwat Allah Ta'ala hi ki taraf se hai (Abu Daawood 5095)

♡ To us se kaha jaata hai tujhe poori rehnumaai mil gai, tere kaam bana diye gaye, teri hifaazat ka faisla hogaya. Aur shaitaan maayoos wa naamuraad hokar us se door hojaata hai to doosra shaitaan kehta hai, tu is shakhs par kaisa par kaisa qaabu pa sakta hai jise rehnumaai mil gai ho, jis ke kaam bana diye gaye hon aur jis ki hifaazat ki gai ho.

Sunday, January 4, 2026

Masjid mein daakhil hone ki dua

Hazrat Abu Humaid (Radiyallahu 'Anhu) bayaan karte hain ke Rasoolullah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Jab tum mein se koi masjid mein daakhil ho to yeh (dua) padhe:

اَللَّهُـمَّ افْتَحْ لِيْ أَبْوَابَ رَحْمَتِكَ

Allaahummaf tahlee abwaaba rahmatik

Tarjama: Aye Allah ! Tu mere liye apni rahmat ke darwaaze khol de.

Reference:- (Muslim: 1685)