Pages

Tuesday, March 24, 2015

Ghar mein daakhil hone ki dua

☆ Ghar mein daakhil hone ki dua

🌟 Hazrat Abu Maalik Ash'ari ( Radiyallahu 'Anhu) se marwi hai ke Aap ne farmaaya ke Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Jab aadmi apne ghar mein daakhil ho to yeh dua padhe:



“Allaahumma inni as-aluka khairal maulaji wa khairal makhraji bismillaahi wa lajnaa wa bismillaahi kharajnaa wa alallaahi rabbinaa tawakkalna”

🌟 Tarjama: Aye Allah! Main aap se andar jaane aur baahar nikalne ki bhalaai ka sawaal karta hoon, ham Allah Ta'ala hi ke naam se daakhil hote hain aur Allah Ta'ala hi ke naam se baahar nikalte hain, aur ham ne apne rab Allah hi par bharosa kiya.

🌟 Phir use chaahiye ke apne ghar waalon ko salaam kare.

♡ Reference: Abu Dawood: 5096

0 comments:

Post a Comment