Pages

Tuesday, February 24, 2015

Ghar Se Nikalte Waqt Ki Dua

Ghar Se Nikalte Waqt Ki Dua
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
♡ Hazrat Anas Bin Maalik (Radiyallahu 'Anhu) se riwaayat hai ke Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Jab koi aadmi apne ghar se nikalte waqt (yeh alfaaz) kahe:

“Bismillaahi tawakkaltu alallaahi laahaula walaa quwwata illaa billah”

♡ Tarjuma: Main Allah ke naam se nikalta hoon,
mein ne Allah par bharosa kiya , gunaahon se bachne ki taaqat aur
Nek kaam karne ki quwwat Allah Ta'ala hi ki taraf se hai (Abu Daawood 5095)

♡ To us se kaha jaata hai tujhe poori rehnumaai mil gai, tere kaam bana diye gaye, teri hifaazat ka faisla hogaya. Aur shaitaan maayoos wa naamuraad hokar us se door hojaata hai to doosra shaitaan kehta hai, tu is shakhs par kaisa par kaisa qaabu pa sakta hai jise rehnumaai mil gai ho, jis ke kaam bana diye gaye hon aur jis ki hifaazat ki gai ho.

0 comments:

Post a Comment