Pages

Wednesday, January 21, 2015

Ghar se nikalte waqt ki dua

Hadees: Hazrat Anas Bin Maalik (Radiyallahu Anhu) se riwaayat hai ke Rasoolullah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaya: Jab koi aadmi apne ghar se nikalte waqt (yeh alfaaz) kahe:

Bismillaahi tawakkaltu 'alallaahi laahaula walaa quwwata illaa billah

Tarjama: Main Allah ke naam se nikalta hoon, mein ne Allah par bharosa kiya, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allah Ta'ala hi ki taraf se hai.

To us se kaha jaata hai tujhe poori rehnumaai mil gai, tere kaam bana diye gaye, teri hifaazat ka faisla hogaya. Aur shaitaan maayoos wa naamuraad ho kar us se door hojaata hai to doosra shaitaan kehta hai, tu is shakhs par kaise qaabu pa sakta hai jise rehnumaai mil gai ho, jis ke kaam bana diye gaye hon aur jis ki hifaazat ki gai ho.

Reference:- (Abu Dawood: 5095)

0 comments:

Post a Comment